kya khoya kya paaya jag meiN milte aur bicHaDte mag meiN muJhe kisi se nahiN sHikaayat taddapi chhala gaya pag-pag meiN ek drishTi biti par daale yaadoN ki potali tatole prithwi laakhoN warsH puraani jeewan ek anant kahani par tan ki apni seemaayeN taddapi sau shardoN ki vaaNi itna kaafi hai antim dastak par khud darwaajaa khole jaNm-maraN ka avirat fera jeewan banzaroN ka Dera aaJ yahaN kal kahan kuch hai kaun jaanta kidhar savera andhiyara aakaash aseemiit pRaanoN ke pankhoN ko taule apne hi man meiN kuch bole