SHRI ATAL BIHARI VAJPAYEE
       Poet:: Atal Bihari Vajpayee
     Zindagi ki shor, rajnit ki apadhaati, rishton naataon ke 
     galiyon aur kya khoya kya  paaya ke  baazaaro se aage, soch
     ke raaste par  kahin ek aisa  nukkaD aata hai jahan pahunch 
     kar  insaan  ekaaki ho  jaata hai. tab, jaag  uththa hai ek 
     kavi. fir  shabdon ke  rangoN se jeewan ki anokhi tasveeren
     banti haiN,  kavitaayen aur geet, sapnoN ki tarah aate haiN 
     aur kaagaz par  hamesha ke liye  apna ghar  bana lete hain.

     Atal ji ki ye kavitaayen, aise hi pal, aise hi  chaaON mein
     likhi  gayi haiN, jab sunane waale aur sunaane  waale meiN, 
     tum aur maiN ki  deewaareN TooT  jaati hai, duniya ki saari 
     dhaDkaNe  simat kar ek dil  meiN aa jaati haiN, aur kavi ke 
     shaBd  duniya ke har  samwelan  sheel  insaan ke  shaBD ban 
     jaate haiN. 
Posting Date:: 01/11/2011